Shendur lal chadhayo achchha gajmukhko || Dondil lal biraje sut gauriharko ||
Hath liye gudladdu sai survarko || Mahima kahe na jay lagat hoo padko || 1 ||
Jai jai shri ganraj vidhyasukhdata || Dhanya tumara darshan mera man ramata ||
Ashto siddhi dasi sankatko bairi || vignavinashan mangal murat adhikari ||
Koti surajprakash aisi chhabi teri || Gandasthala madmastak jhoole Shashihari || 2 ||
Jai jai shri ganraj vidhyasukhdata || Dhanya tumara darshan mera man ramata ||
Bhavbhagat se koi sharanagat ave || santat santat sabhi bharpur pave ||
Aise tumMaharaj moko ati bhave || Gosavinandan nishidin gun gave || 3 ||
Jai jai shri ganraj vidhyasukhdata || Dhanya tumara darshan mera man ramata ||